Wednesday, 31 August 2016

Khaane se pehle ki dua

Play/Download
Length: 00:08
Media TypeVideo (Mp4)
Share on: Telegram | WhatsApp
بِسْمِ اللهِ

Bismillaah

✺ Tarjama: Main Allah ke naam se khaana shuru karta hun.

✺ (Tirmizi: 1858)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, 30 August 2016

Khaane Ke Shuru Mein Dua Padhna Bhool Jaaye To Yeh Dua Padhe

Play/Download
Length: 00:09
Media TypeVideo (Mp4)
Share on: Telegram | WhatsApp
بِسْمِ اللَّهِ أَوَّلَهُ وَآخِرَهُ

Bismillaahi awwalahoo wa aakhirah

✺ Tarjama: Shuru aur Aakhir mein Allah ka Naam le kar khaata hoon.

✺ (Abu Dawud: 3767)

Share this on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, 29 August 2016

Khaane ke Baad Ki Dua

Play/Download
Length: 00:16
Media TypeVideo (Mp4)
Share on: Telegram | WhatsApp
✦ Khaane ke Baad Ki Dua ✦

✺ Hadees: Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:

 الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ

Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.

✺ Tarjama: Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya..

✺ (Tirmizi: 3457)

Share on: Email Telegram | WhatsApp

Thursday, 25 August 2016

Sone se pehle ki dua

Play/Download
Length: 00:11
Media TypeVideo (Mp4)
Share on: Telegram | WhatsApp
اَللَّهُـمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا

Allaahumma bismika amootu wa ahyaa

✺ Tarjama: Aye Allah! Main tere hi naam se marta hoon aur jeeta hoon.

✺  (Bukhari: 6314)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, 24 August 2016

Sone ki Sunnatein

1) Isha ke baad jaldi sone ki fikr karna, duniya ki baat na karna. (Bukhari: 599)

2) Sone se pehle kapde tabdeel karna. (Subulul Huda Warrashaad: 7/359)

3) Ba Wuzu sona. (Bukhari: 6311)

4) Teen martaba bistar jhaad kar sona. (Bukhari: 7393)

5) Teen teen salaai surma lagaana. (Tirmizi: 2048)

6) Teen martaba istigfaar (ﷺ) "Astagfirullaahal 'azeemallazee laa ilaaha illaa huwal haiyyul qaiyyoomu wa atoobu ilaih" padhna. (Tirmizi: 3397)

7) Tasbeeh-e-Faatimi Subhanallah 33 martaba, Alhamdulillah 33 martaba, Allahu akbar 34 martaba padhna. (Bukhari: 5361)

8) Sura-e-Ikhlaas, Sura-e-Falaq aur Sura-e-Naas padhna. (Bukhari: 5017)

9) Daahni karwat qibla rukh let kar haath rukhsaar (gaal) ke neeche rakhna. (Bukhari: 4774, Musnad-e-Abi Ya'ala: 4774)

10) Pet ke bal aundha na letna. (Bukhari: 2768)

11) Sone ki dua "Allahumma bismika amootu wa ahyaa" padhna. (Bukhari: 6314)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, 23 August 2016

Sokar uthhne ki dua

Play/Download
Length: 00:17
Media TypeVideo (Mp4)
Share on: Telegram | WhatsApp
Hazrat Huzaifah (Raziyallahu 'Anhu) farmaate hain ke Rasulullah (ﷺ) jab neend se bedaar hote to yeh (dua) padhte:

اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِيْ أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُوْرُ

Alhamdulillaahil lazee ahyaanaa ba'adamaa amaatanaa wa ilaihin nushoor

Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein maut dene ke baad zindagi di aur usi ki taraf sab ko jaana hai.

(Bukhari: 6314)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, 22 August 2016

Sokar uthhne ki Sunnatein

1) Neend se uthhte hi donon haathon se chehra aur aankhon ko malna. (Bukhari: 183)

2) Sokar uthhne ki dua "Alhamdulillaahil lazee ahyaana ba'adamaa amaatanaa wa ilaihin nushoor" padhna. (Bukhari: 6314)

3) Miswaak karna. (Bukhari: 245)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 14 August 2016

Khaas khaas mauqon par kahe jaane waale Masnoon Kalimaat

  • Oonchi jagah par chadte huwe padhein:
Arabic: اَللهُ أَكْبَرْ

Allaahu Akbar

Tarjama: Allah sab se bada hai.

(Bukhari: 2993)
  • Neeche utarte huwe padhein:
Arabic: سُبْحَانَ اللهِ

Subhaan Allaah

Tarjama: Allah ki Zaat Paak hai.

(Bukhari: 2993)

  • Chheenk Aane Par Kahein:
Arabic: اَلْحَمْدُ لِلَّهِ

Alhamdulillaah

Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain.

(Bukhari: 6224)

  • Chheenkne waale ko yeh jawaab dein:

Arabic: يَرْحَمُكَ اللهُ

Yarhamukallaah

Tarjama: Allah Tum par Raham kare.

(Bukhari: 6224)

  • Kisi kaam ke karne ka iraada zaahir karein to kahein:

Arabic: اِنْ شآءَاَللهُ

In Shaa Allaah

Tarjama: Agar Allah ne Chaaha.

(Sura-e-Kahaf 18: 24)

  • Koi Cheez Achchhi Lage to Yeh Dua Padhein:

Arabic: مَاشَآءَاللهُ

Maashaa Allaah

Tarjama: Jo Allah Chaahe.

(Sura-e-Kahaf 18: 39)

  • Kisi baat par Ta'ajjub ho to yeh Dua padhein:

Arabic: َاَللهُ أَكْبَرْ، سُبْحَانَ اللهِ

Allaahu akbar, Subhanallaah

Tarjama: Allah sab se bada hai, Allah ki Zaat Paak hai.

(Bukhari: 6218)

  • Koi Takleef Pahonche Ya koi Cheez gum ho jaaye to kahein:

Arabic: إِنَّالِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُوْنَ

Innaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon

Tarjama: Beshak ham Allah hi ke liye hain aur ham ko usi ki taraf laut kar jaana hai.

(Sura-e-Baqarah 2: 156)

  • Jab Gussa Aaye to Padhein:

Arabic: أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ

A'oozubillaahi minashshaitaanir rajeem

Tarjama: Main shaitaan mardood se Allah ki panah chaahta hoon,

(Tirmizi: 3452)

Share on: