Wednesday, 31 August 2016
Tuesday, 30 August 2016
Monday, 29 August 2016
Khaane ke Baad Ki Dua
| Play/Download |
| Length: 00:16 |
| Media Type: Video (Mp4) |
✦ Khaane ke Baad Ki Dua ✦
✺ Hadees: Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ
Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.
✺ Tarjama: Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya..
✺ (Tirmizi: 3457)
|
Thursday, 25 August 2016
Wednesday, 24 August 2016
Sone ki Sunnatein
1) Isha ke baad jaldi sone ki fikr karna, duniya ki baat na karna. (Bukhari: 599)
2) Sone se pehle kapde tabdeel karna. (Subulul Huda Warrashaad: 7/359)
3) Ba Wuzu sona. (Bukhari: 6311)
4) Teen martaba bistar jhaad kar sona. (Bukhari: 7393)
5) Teen teen salaai surma lagaana. (Tirmizi: 2048)
6) Teen martaba istigfaar (ﷺ) "Astagfirullaahal 'azeemallazee laa ilaaha illaa huwal haiyyul qaiyyoomu wa atoobu ilaih" padhna. (Tirmizi: 3397)
7) Tasbeeh-e-Faatimi Subhanallah 33 martaba, Alhamdulillah 33 martaba, Allahu akbar 34 martaba padhna. (Bukhari: 5361)
8) Sura-e-Ikhlaas, Sura-e-Falaq aur Sura-e-Naas padhna. (Bukhari: 5017)
9) Daahni karwat qibla rukh let kar haath rukhsaar (gaal) ke neeche rakhna. (Bukhari: 4774, Musnad-e-Abi Ya'ala: 4774)
10) Pet ke bal aundha na letna. (Bukhari: 2768)
11) Sone ki dua "Allahumma bismika amootu wa ahyaa" padhna. (Bukhari: 6314)
Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Tuesday, 23 August 2016
Sokar uthhne ki dua
| Play/Download |
| Length: 00:17 |
| Media Type: Video (Mp4) |
Hazrat Huzaifah (Raziyallahu 'Anhu) farmaate hain ke Rasulullah (ﷺ) jab neend se bedaar hote to yeh (dua) padhte:
اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِيْ أَحْيَانَا بَعْدَ مَا أَمَاتَنَا وَإِلَيْهِ النُّشُوْرُ
Alhamdulillaahil lazee ahyaanaa ba'adamaa amaatanaa wa ilaihin nushoor
Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein maut dene ke baad zindagi di aur usi ki taraf sab ko jaana hai.
(Bukhari: 6314)
|
Monday, 22 August 2016
Sunday, 14 August 2016
Khaas khaas mauqon par kahe jaane waale Masnoon Kalimaat
- Oonchi jagah par chadte huwe padhein:
Arabic: اَللهُ أَكْبَرْ
Allaahu Akbar
Tarjama: Allah sab se bada hai.
(Bukhari: 2993)
- Neeche utarte huwe padhein:
Arabic: سُبْحَانَ اللهِ
Subhaan Allaah
Tarjama: Allah ki Zaat Paak hai.
(Bukhari: 2993)
- Chheenk Aane Par Kahein:
Arabic: اَلْحَمْدُ لِلَّهِ
Alhamdulillaah
Tarjama: Tamaam Ta'areefein Allah ke liye hain.
(Bukhari: 6224)
- Chheenkne waale ko yeh jawaab dein:
Arabic: يَرْحَمُكَ اللهُ
Yarhamukallaah
Tarjama: Allah Tum par Raham kare.
(Bukhari: 6224)
- Kisi kaam ke karne ka iraada zaahir karein to kahein:
Arabic: اِنْ شآءَاَللهُ
In Shaa Allaah
Tarjama: Agar Allah ne Chaaha.
(Sura-e-Kahaf 18: 24)
- Koi Cheez Achchhi Lage to Yeh Dua Padhein:
Arabic: مَاشَآءَاللهُ
Maashaa Allaah
Tarjama: Jo Allah Chaahe.
(Sura-e-Kahaf 18: 39)
- Kisi baat par Ta'ajjub ho to yeh Dua padhein:
Arabic: َاَللهُ أَكْبَرْ، سُبْحَانَ اللهِ
Allaahu akbar, Subhanallaah
Tarjama: Allah sab se bada hai, Allah ki Zaat Paak hai.
(Bukhari: 6218)
- Koi Takleef Pahonche Ya koi Cheez gum ho jaaye to kahein:
Arabic: إِنَّالِلَّهِ وَإِنَّآ إِلَيْهِ رَٰجِعُوْنَ
Innaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji'oon
Tarjama: Beshak ham Allah hi ke liye hain aur ham ko usi ki taraf laut kar jaana hai.
(Sura-e-Baqarah 2: 156)
- Jab Gussa Aaye to Padhein:
Arabic: أَعُوْذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيْمِ
A'oozubillaahi minashshaitaanir rajeem
Tarjama: Main shaitaan mardood se Allah ki panah chaahta hoon,
(Tirmizi: 3452)
Share on:
Subscribe to:
Posts (Atom)